Preview

Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 2

By: Delhi Press
Narrated by: Geeta Verma
Try for £0.00

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • वह मेरे जैसी नहीं है : स्नेहा को आशीर्वाद क्यों देती थी मां
    May 12 2022
    Sneha apni ma ki baat nahin maanti thi, hamesha apne mann ki baat maanti. Ma use daant lagaati thi, lekin hriday mein khush hoti thi ki unki beti apni zindagi apne tareeke se jee rahi hai. Sneha mein aatmavishwas bhara hua tha, vah driving bhi seekh chuki thi aur akele bahar jaati thi. Uski ma apne jeevan mein yah sab nahin kar paayi thi aur vah khush thi ki unki beti unki tarah nahin hai.
    Show More Show Less
    14 mins
  • एहसास
    May 12 2022
    Juhi aur Raghav pati-patni the. Raghav ko bohot jaldi gussa aa jaata tha aur vah Juhi par haath bhi uthaane laga tha. Juhi ka wazan badh gaya tha kyunki use ek bimaari thi jiske baare mein usne Raghav ko nahin bataaya tha. Vah iss rishte se mukt hona chaahti thi. Usne Raghav ke liye ek chitthi likhi jisme apne mann ki saari baatein use bataayi. Raghav yah padh kar hairaan tha. Use apni galti ka ehsaas hone laga.
    Show More Show Less
    17 mins
  • बीच की दीवार
    May 12 2022
    Har aurat ko mayike jaane ke khayal se khushi hoti hai. Lekin Sujata apne mayike mein khush nahin thi. Ghar ka batwaara ho chuka tha. Uske bhaiya aur bhabhi alag hisse mein rehte the aur ma alag. Har roz wahan jhagda hota dekh kar Sujata kaafi pareshaan ho gayi. Vah wapas sasuraal laut gayi aur mayike jaane ki ichchha khatm ho gayi.
    Show More Show Less
    16 mins

What listeners say about Family Drama Stories by Delhi Press, Season 2

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.